Akbar Allahabadi

Khabar deti hai tehreek-e-hawa tabdeel-e-mausam ki

Khilenge aur hi gul zamzame bulbul ke kam honge

Ghuzishta azmaton ke taskare bhi na reh jaayenge

Kitaabon mein hi dafn afsaan-e-jaaho hasham honge

Kisi ko is taghayyur ka na his hogaa na gham hogaa

Hue jis saaz se paida usi ke zeyro bam honge

Tumhe is inqilaab-e-deher ka kya gham hai ai Akbar

Bahut nazdeek hain woh din ki tum hoge na hum honge

Akbar Allahabadi

2 COMMENTS

  1. Urdu is not a foreign language, most of the words is common in Hindi and Urdu ,Hindi has enriched taking more from Sanskrit language and Urdu from Farsi and few from Arabic, the Arabic word LA means no but in Hindi and Urdu LA means the same. Both Hindi and Urdu , daughters of khadiboli,though having different script emerged and flourish in India as a language of the common people . Neither in Iran nor in Arabia people understand Urdu language.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here