Jis desh se maaon behnon ko
Aghyaar utha kar le jaayen
Jis desh ki court kachehri mein
Insaaf takon par bikta ho
Jis desh ke haakim zaalim hon
Siskiyan na sunein majbooron ki
Jis desh ke aadil behre hon
Aahein na sunein maasoomon ki
Jis desh mein jaan ke rakhwaaley
Khud jaanen lein maasoomon ki
Jis desh ke chappey chappey par
Police ke naakey hotey hon
Jis desh ke har chauraahey par
24 bhikhaari phirtey hon
Jis desh mein ghurbat maaon se
Bachche neelaam karwaaya jaaye
Jis desh ke mandir masjid mein
Har roz dhamaakey hote hon
Jis desh mein jaan ke rakhwaale
Khud jaaney lein maasoomon ki
Jis desh ke ohde daaron se
Ohde na sambhaaley jaate hon
Us desh ke rehney waalon ka
Hathyaar uthaana waajib hai
Us desh ke har ek leader ko
Sooli pe chadhaana waajib hai
P.S.
Aghyaar means strangers ( it is plural of ghair or stranger ), haakim means judge, zaalim means tyrant, siski means sob or sigh, aadil means judge, aahen means moans, majboor means helpless or oppressed, maasoom means innocent, chappey chappey means on every corner, naakey means police posts, chauraaha means road crossing, bhikhaari means beggar, ghurbat means poor, dhamaake means bomb blasts, ohde daar means person in authority, hathyaar means weapon, waajib means justified, sooli means gallows